Bohat muddat k baad kal jab
kitab-e-maazi
ko maine khola,
Bohat se chehre
nazr mei utre,
bohat se namon pe dil pasija,
Ik aisa safha bhi
us mei aaya,
likha huwa tha
jo aansoun se,
K jis ka unwan HUMSAFAR tha,
Tha khush or ansu b us pe tapke,
Phir us se agey main parh na paya,
kitab e maazi
ko band kr k phir uski yadon mei kho gaya main,
Agar wo milti to zindagi kesi hoti,
Inhi khayalon
mein so gaya mein
No comments:
Post a Comment