Monday, June 25, 2012

Mohabat Phool Hay Shayad

Mohabat "Khawab" Hoti Hay!
Bari "Betaab" Hoti Hay!
Jo koi pooch Bethy To!
Mohabbat "Raaz" Hoti Hay!
Machalti see Umangon ka!
Suhana Sath Hoti Hay!
Jo koi Dhondna Chahy!
To Ye "Nayab" Hoti Hay!
Mohabat Phool Hay Shayad!
Ghamon ki Dhool Hay Shayad!
Chamakti Raat Hay Shayad!

Koi Taraash Lay To

Ek sang-e-bad numaa hy bazaahir mera ta'arruf......
'koi taraash lay' to barray kaam ka hoon main...!

Sunday, June 24, 2012

Khwabeeda Nazar

Na Jaago
Raat Bhar Mohsin Meri Maano
To So Jao
.
.
Ye Khwabeeda Nazar
Phir Kal Kisi Ko Maar Dale Gi....

Hum chah k b umar bhar nashad hi rahay

Tum to bicher gaye magar sapnay wohi rahay,
Maosam badal gaye magar manzar wohi rahay,
Hoti rahin sergoshian tanhaioun k saath,
Lehrain badal gaien magar sahil wohi rahay,
Kuch aisay taqdeer ne faisley kiye,
Duaien badal gaien magar daman wohi rahay,
Hum chah k b umar bhar nashad hi rahay,
Umr beat gai magar jazbay wohi rahay,
Kia hua jo rishtoon ki pehchan badal gayi,
Hum b wohi rahay aur tum b wohi rahay...

Sunday, June 17, 2012

Kisi aur ko tanha dekhon to

Kesi Tanhaiyan Sonpi Hain Ek Sakhs Ne Mujhe
.
.
K Ab Kisi Or Ko TanhA Dekhon To Aansoo Nikal Aatey Hain . .

Mohabat ki aas by Wasi Shah

~"Hum ne us k baad na rakhi kisi se mohabat ki aas".... ..."WASI"...
~"Ik shaks hi bohat tha, jo sub kuch sikha gaya"....

Hamara Khat

Kehna hi para un ko Khat parh k hamara,
Kambakht ki hr Baat Mohbat se Bhari hai.!!

Koi yeh nahi sochta

So jaata hai har koi apnay kal k liye..
Fiaz
Par koi ye nahi sochta k aaj jis ka dil dukhaya wo soya hoga ya nahi..!
/\ G%D N8 /\

Raat khoob guzre gi

Hum Dono Mil Beithain Gay To Raat khoob Guzre Gi
Tanhai Ka Ye Kehna Bohat Achha Laga Mujhe.......

Mere ghar pe muntazir hai

Chalo k raat hui ab loatna hy mujhey,
K merey ghar pe muntazir hy meri tanhaai...